Purnoor hai zamaana sub’he shabe wilaadath
Parda ut-haa hai kiska sub’he shabe wilaadath
Jalwa hai haq ka jalwa sub’he shabe wilaadath
Saaya khuda ka saaya sub’he shabe wilaadath
Fasle bahaar aayi shakle nigaar aayi
Gulzaar hai zamaana sub’he shabe wilaadath
Phoolown se baagh mahke shaakhown pe murg chahke
Ahd-e bahaar aaya sub’he shabe wilaadath
Dil jagmaga rahe hein qismath chamak ut’hi hai
Phela nayaa ujaala sub’he shabe wilaadath
Shaukath ka dab-dabaa hai haibath ka zalzalaa hai
Shaq hai makaane kisraa sub’he shabe wilaadath
Khutba huwa zamee par sikka padaa falak par
Paaya jahaan ne aaqa sub’he shabe wilaadath
Aayi nayee hukoomath sikka naya chaleyga
Aalam ne rang badla sub’he shabe wilaadath
Roohul ameen ne gaada kaa`be ki chhath pe jhanda
Thaa arsh udaa phareyra sub’he shabe wilaadath
Padhthey hein arsh waale sunthey hein farsh waale
Sulthane naw ka khuthbaa sub’he shabe wilaadath
Pyaare rabi-ul-awwal teri jhalak ke sadqe
Chamka diya naseeba sub’he shabe wilaadat
Nausha banaao un ko doolha banaawo un ko
Hai arsh thak ye shohrah sub’he shabe wilaadath
Mahroom reh na jaaye din raath barakathown se
Is waasthe wo aaya sub’he shabe wilaadath
Aao faqeero aao munh maangi aas paao
Baabe kareem hai waa sub’he shabe wilaadath
Sookhi zabaano aawo ae jalthi jaano aawo
Lehra raha hai darya sub’he shabe wilaadath
Theri chamak damak se aalam jhalak rahaa hai
Mere bhi bakhth chamkaa sub’he shabe wilaadath
Baantaa hai do jahaan mey thu ne ziyaa ka baada
Dey de Hasan ka hissa sub’he shabe wilaadath